Perwah karne wale aksar rula jate hain.
Apna keh kar paraya kar jate hain.
Wafa jitni bhi karo koi fark nahi,
"Mujhe mat chodna" kar kar khud chood jate hain.
This Ghazal has written by famous Dr Bashir Badr, it very hart touching poetry. Ujale apni yaadon ke hamare sath rehne do | Urdu Shayari | Dr. Bashir Badr Hamaara dil savere ka sunahara jaam ho jae Charaagon kee tarah aankhen jalen jab shaam ho jae Kabhee to aasamaan se chaand utare jaam ho jae Tumhaare naam kee ik khoob-soorat shaam ho jae Ajab haalaat the yoon dil ka sauda ho gaya aakhir Mohabbat kee havelee jis tarah neelaam ho jae Samundar ke safar mein is tarah aavaaz de ham ko Havaen tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jae Mujhe maaloom hai us ka thikaana phir kahaan hoga Parinda aasamaan chhoone mein jab naakaam ho jae Ujaale apanee yaadon ke hamaare saath rahane do Na jaane kis galee mein zindagee kee shaam ho jae.
Kahin phool dhoop ke chawo me hare riban se bandha hua, Woh ghazal ka lahza naya naya na kaha hua na suna hua, Jise udha ke legayi hawa woh warakh tha dil ke kitaab ka, Kain khoone dil se likha hua kahin aansoow se mita hua Kai meel reat ko kaat kar koi moj phool khiia gayi Koi ped pyaas se mar raha nadi ke pas khada hua Wahi khat ke jis pe jagah jagah do mahakte honton ke chand they Kisi bhule bisre se taaq par tahe gard hoga daba hua Mujhe haadson ne saja saja ke bahut haseen bana diya Mira dil bhi jaise duIhan ka haath ho menhdiyon se racha hua Wahi shehr hai wahi raaste wahi ghar hai aur wahi Iaan bhi Magar us dareeche se punchna “Yodarakht anaar ka kya hua Mere saath jugnu hain hamsafar magar is sharar ki bisaat kya Ye chiragh koi chiragh hai na jaia hua na bujha hua
कोई फूल धूप की छांव में हरे रिबन से बंधा हुआ वो ग़ज़ल का लहजा नया नया न कहा हुआ न सुना हुआ जिसे उड़ा के ले गई हवा वो वरक़ था दिल की किताब का कहीं खून-इ-दिल से लिखा हुआ कहीं आँसुओं से मिटा हुआ कई मील रेत को काट कर कोई मौज फूल खिला गई कोई पेड़ प्यास से मर रहा है नदी के पास खड़ा हुआ वही ख़त कि जिस पे जगह जगह दो महकते होंटों के चाँद थे किसी भूले - बिसरे से ताक़ पर तह - ए - गर्द होगा दबा हुआ मुझे हादसों ने सजा सजा के बहुत हसीन बना दिया मिरा दिल भी जैसे दुल्हन का हाथ हो मेहँदियों से रचा हुआ वही शहर है वही रास्ते वही घर है और वही लान भी मगर इस दरीचे से पूछना वो दरख़्त अनार का क्या हुआ मिरे साथ जुगनू है हम - सफ़र मगर इस शरर की बिसात क्या ये चराग़ कोई चराग़ है न जला हुआ न बुझा हुआ
Comments