Yun hi be sabab na phira karo, koi sham ghar bhi raha karo

Yun hi be sabab na phira karo, koi sham ghar bhi raha karo
Woh ghazal ki sacchi kitab hai use chupke chupke pada karo

Koi haath bhi na milayega jo gale miloge tapaak se
Yeh naye mizaj ka shehr hai zara fasle se mila karo

Abhi raah me in kai mod he in koi ayega koi jayega
Tumhe jisne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo

Mujhe ishtihar si lagti hein ye mohabbaton ki kahaniyan
Jo kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo

Kabhi husne parda nashin bhi ho zara ashiqana libas mein
Jo mein ban sanvar ke kahin chalun mire sath tum bhi chala karo

Nahin be hijab wo chand sa ki nazar ka koi asar na ho
Use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo

Ye khizan ki zard si shaal mein jo udas ped ke pas hain
Ye tumhare ghar ki bahaar hai ise aasuon se hara karo

Comments

Popular posts from this blog

Mane koi suraj koi tara nahi dekha

Free online image resizer