Yun hi be sabab na phira karo, koi sham ghar bhi raha karo
Yun hi be sabab na phira karo, koi sham ghar bhi raha karo Woh ghazal ki sacchi kitab hai use chupke chupke pada karo Koi haath bhi na milayega jo gale miloge tapaak se Yeh naye mizaj ka shehr hai zara fasle se mila karo Abhi raah me in kai mod he in koi ayega koi jayega Tumhe jisne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo Mujhe ishtihar si lagti hein ye mohabbaton ki kahaniyan Jo kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo Kabhi husne parda nashin bhi ho zara ashiqana libas mein Jo mein ban sanvar ke kahin chalun mire sath tum bhi chala karo Nahin be hijab wo chand sa ki nazar ka koi asar na ho Use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo Ye khizan ki zard si shaal mein jo udas ped ke pas hain Ye tumhare ghar ki bahaar hai ise aasuon se hara karo