Posts

Ujale apni yaadon ke hamare sath rehne do | Urdu Shayari | Dr. Bashir Badr

Image
  This Ghazal has written by famous Dr Bashir Badr, it very hart touching poetry.  Ujale apni yaadon ke hamare sath rehne do | Urdu Shayari | Dr. Bashir Badr  Hamaara dil savere ka sunahara jaam ho jae  Charaagon kee tarah aankhen jalen jab shaam ho jae  Kabhee to aasamaan se chaand utare jaam ho jae  Tumhaare naam kee ik khoob-soorat shaam ho jae  Ajab haalaat the yoon dil ka sauda ho gaya aakhir  Mohabbat kee havelee jis tarah neelaam ho jae  Samundar ke safar mein is tarah aavaaz de ham ko  Havaen tez hon aur kashtiyon mein shaam ho jae  Mujhe maaloom hai us ka thikaana phir kahaan hoga  Parinda aasamaan chhoone mein jab naakaam ho jae  Ujaale apanee yaadon ke hamaare saath rahane do  Na jaane kis galee mein zindagee kee shaam ho jae.

Koi Phool dhoop ki chaow me hare riban se bandha hua | कोई फूल धूप की छांव में हरे रिबन | Bashir Badr

Image
  कोई फूल धूप की छांव में हरे रिबन से बंधा हुआ वो ग़ज़ल का लहजा नया नया न कहा हुआ न सुना हुआ   जिसे उड़ा के ले गई हवा वो वरक़ था दिल की किताब का कहीं खून-इ-दिल से लिखा हुआ कहीं आँसुओं से मिटा हुआ   कई मील रेत को काट कर कोई मौज फूल खिला गई कोई पेड़ प्यास से मर रहा है नदी के पास खड़ा हुआ   वही ख़त कि जिस पे जगह जगह दो महकते होंटों के चाँद थे किसी भूले - बिसरे से ताक़ पर तह - ए - गर्द होगा दबा हुआ   मुझे हादसों ने सजा सजा के बहुत हसीन बना दिया मिरा दिल भी जैसे दुल्हन का हाथ हो मेहँदियों से रचा हुआ   वही शहर है वही रास्ते वही घर है और वही लान भी मगर इस दरीचे से पूछना वो दरख़्त अनार का क्या हुआ   मिरे साथ जुगनू है हम - सफ़र मगर इस शरर की बिसात क्या ये चराग़ कोई चराग़ है न जला हुआ न बुझा हुआ

Yun hi be sabab na phira karo, koi sham ghar bhi raha karo

Yun hi be sabab na phira karo, koi sham ghar bhi raha karo Woh ghazal ki sacchi kitab hai use chupke chupke pada karo Koi haath bhi na milayega jo gale miloge tapaak se Yeh naye mizaj ka shehr hai zara fasle se mila karo Abhi raah me in kai mod he in koi ayega koi jayega Tumhe jisne dil se bhula diya use bhulne ki dua karo Mujhe ishtihar si lagti hein ye mohabbaton ki kahaniyan Jo kaha nahin wo suna karo jo suna nahin wo kaha karo Kabhi husne parda nashin bhi ho zara ashiqana libas mein Jo mein ban sanvar ke kahin chalun mire sath tum bhi chala karo Nahin be hijab wo chand sa ki nazar ka koi asar na ho Use itni garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo Ye khizan ki zard si shaal mein jo udas ped ke pas hain Ye tumhare ghar ki bahaar hai ise aasuon se hara karo

Goror-e-javani pe itrane wale, mohabbat paraston ko thokrane wale

Goror-e-javani pe itrane wale, mohabbat paraston ko thokrane wale Javani sada rahne wali nahi hai, tum iski hifazat kahan tak karoge. Agar lag gai tumko zamane ke nazren, To kis kis ke nazren utara karogi.

Free online image resizer

Free online image resizer There are three easy steps to resize images, photos for your blog, website, facebook etc. It is very fast, no need to install any software on your system and it does not require any registration. 1. Browse image and click on next to resize button. 2. Select size whatever you want and click on resize image button. 3. Download your image. Free online image resizer

Kahin phool dhoop ke chawo me hare riban se bandha hua

Image
Kahin phool dhoop ke chawo me hare riban se bandha hua, Woh ghazal ka lahza naya naya na kaha hua na suna hua, Jise udha ke legayi hawa woh warakh tha dil ke kitaab ka, Kain khoone dil se likha hua kahin aansoow se mita hua Kai meel reat ko kaat kar koi moj phool khiia gayi Koi ped pyaas se mar raha nadi ke pas khada hua Wahi khat ke jis pe jagah jagah do mahakte honton ke chand they Kisi bhule bisre se taaq par tahe gard hoga daba hua Mujhe haadson ne saja saja ke bahut haseen bana diya Mira dil bhi jaise duIhan ka haath ho menhdiyon se racha hua Wahi shehr hai wahi raaste wahi ghar hai aur wahi Iaan bhi Magar us dareeche se punchna “Yodarakht anaar ka kya hua Mere saath jugnu hain hamsafar magar is sharar ki bisaat kya Ye chiragh koi chiragh hai na jaia hua na bujha hua

Dil hai keya cheez hum rooh me utre hote

Dil hai keya cheez hum rooh me utre hote, Tum ne chaha hi nahi chahne walo ke tarah