Yeh dosti chirag hai ise jaley rakhna, Yeh dosti gul hai ise khilay rakhna. Hum rahen ya na rahen is jahan main, Bas hamari yaad dil main basaye rakhna.
Tumne chaha hi nahi haalat badal sakte the, Mere aansoo teri aankho se nikal sakte the. Tumen samjha hi nahi alfaaz ke taveer ko, Narm lahze se pathar bhi pighal sakte the. Tum to thahre rahe zheel ke trah, Dariya bante to bahut door nikal sakte the
Kabhi khod pe kabhi halat pe rona aaya, Jab koi baat chidi to har baat per rona aaya. Ab to sansen bhi leta hun lagta hai dar, kewki dhadkano se ibadat me khalal padta hai.
Keya kaha phir se kaho dewana mujhe, Aa tere lab choom lon tune pahchana mujhe. Neak ne neak samjha bad ne bad jana mujhe, Jisme jitna zarf tha usne utna pahchana mujhe.
Garmiye hasrat-e-nakaam se jal jaate hain Hum chiraagon ki tarah shaam se jal jaate hain Shama jalti hai jis aag mein numayish ke liye Hum usi aag mein gumnaam se jal jaate hain Jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath jaane kyon log mere naam se jal jaate hain…